Roman Urdu #38

EK NAZAR MAHR E DARAKSHAAN E JAMAAL

📜 Roman Urdu 🎵 20 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Is Taraf Bhi Ek Nazar Mahr e Darakshaan e Jamaal

Hum Bhi Rakhte Haiñ Bahut Mud’dat Se Armaan e Jamaal

Tum Ne Ach’choñ Pe Kiya He Khoob Fayzaan e Jamaal

Hum Badoñ Par Bhi Nigaah e Lutf Sultaan e Jamaal

Ek Ishaare Se Kiya Shaq Maah e Taabaañ Aap Ne

Marhaba Sadd Marhaba Sal’le ‘Ala Shaan e Jamaal

Teri Jaañ Bakhshi Ke Sadqe Ay Maseeha e Zamaañ

Sang-Rezoñ Ne Parha Kal’ma Tera Jaan e Jamaal

Kab Se Baythe Haiñ Laga-e Lau Dar e Jaanaañ Pe Hum

Haa-e Kab Tak Deed Ko Tarseñ Fidayaan e Jamaal

Farsh Aankhoñ Ka Bicha-o Rah Guzar Me Aashiqoñ

Un Ke Naqsh e Paa Se Hoge Mazhar e Shaan e Jamaal

Mar Ke Mit’ti Me Milay Woh Najdiyo; Bilkul Ghalat

Hasb e Saabiq Ab Bhi Haiñ Marqad Me Sultaan e Jamaal

Garmi e Mahshar Gunahgaaro; Hai Bas Kuch Deyr Ki

Abr Ban Kar Chaa-enge Gaisoo e Sultaan e Jamaal

Kar Ke Da’wa Hamsari Ka Kaise Munh Ke Bal Gira

Mit’ Gaya Woh Jis Ne Ki Tauheen e Sultaan e Jamaal

Haasidaan e Shaah e Deeñ Ko Dijiye Akhtar Jawaab

Dar Haqeeqat Mustafa Pyaare Haiñ Sultaan e Jamaal