Roman Urdu #133

Kya Theek Ho Rukh-e-Nabwi Par Misaal-e-Gul

📜 Roman Urdu 🎵 38 Lines ⏱️ 2 Min Read ✨ Naat Shareef

Kya theek ho rukh-e-Nabwi par misaal-e-gul

Paa maal jalwaye kaf-e-paa hay jamaal-e-gul.

Jannat he un key jalwa sey jo yaaye rang-o-boo,

Aay gul hamaare gul sey hay gul ko sawaal-e-gul.

Un key qadam sey sil’aye ghaali hui jinaan,

Wallah mere gul sey hay jaah-o-jalaal-e-gul.

Sunta hoon ishq-e-shah mein dil hoga khoon fashaan,

Yaa Rab ye muzdah sach ho Mubarak ho faal-e-gul.

Bulbul haram ko chal gham-e-faani sey faidah,

Kab tak kahegi haaye wo ghuncha-o-laal-e-gul.

Ghamgeen hay shauq-e-ghaazah-khaak-e-Madinah main,

Shabnam sey dhul sakegi na gird-e-malaal-e-gul.

Bulbul yeh kya kaha main kahaan fasl-e-gul kahaan,

Ummeed rakh key aam hay jood-o-nawaal-e-gul.

Bulbul ghara hay abre walaa muzdah ho key ab,

Girti hay aashiyana pe barq-e-jamaal-e-gul.

Yaa Rab hara bhara rahe daagh-e-jigar ka bagh,

Har mah mahe bahaar ho har saal saal-e-gul.

Rang-e-muthrah sey kar kay khajal yaad shah mein,

Kheencha hay ham ne kaanton pe itr-e-jamaal-e-gul.

Main yaad-e-sheh me rowoon ‘anaa dil karein hujoom,

Har ashke laala-e-faam pe ho ehtemaal-e-gul,

Hain akse chehra sey lab gulgon mein surkhiyaan,

Dooba hay badr-e-gul sey shafaq mein hilaal-e-gul.

Naat-e-Huzoor mein mutarannim hay andaleeb,

Shaakhon key jhoomne sey ayaan wajd-o-haal-e-gul.

Bulbul gul-e-Madinah hamesha bahaar hay,

Do din ki hay bahaar fanaa hay maal-e-gul.

Shaikhain idhar nisaar Ghani-o-Ali udhar,

Ghuncha hay bulbulon ka yameen-o-shimaal-e-gul.

Chahe Khuda to payeinge ishq-e-Nabi mein khuld,

Nikli hay naama-e-dil-e-pur khoon me faal-e-gul.

Kar us ki yaad jis sey mile chain andaleeb,

Dekha nahi keh khaar-e-alam hay khyaal-e-gul.

Dekha tha khwaab-e-khaar-e-haram andaleeb ne,

Khatka kiya hay aankh me shab bhar khyaal-e-gul.

Un do ka sadqa jinko kaha mere phool hain,

Kijiye RAZA ko hashr mein khandaa misaal-e-gul.