Roman Urdu #24

MADINA AANE WAALA HE

📜 Roman Urdu 🎵 38 Lines ⏱️ 3 Min Read ✨ Naat Shareef

Sambhal Jaa Ay Dil e Muztar Madina Aane Waala He

Luta Ay Chashm e Tar Gauhar Madina Aane Waala He

Qadam Ban Jaa-e Mera Sar Madina Aane Waala He

Bichuñ Rah Me Nazar Ban Kar Madina Aane Waala He

Jo Dekhe Un Ka Naqsh e Paa Khuda Se Woh Nazar Maanguñ

Charaagh e Dil Chaluñ Le Kar Madina Aane Waala He

Karam Un Ka Chala Yuñ Dil Se Kehta Raah e Taibah Me

Dil e Muztar Tasal’li Kar Madina Aane Waala He

Nichaawar Haiñ Madine Ki Ye Mera Dil Meri Aankheñ

Nichaawar Huñ Madine Par Madina Aane Waala He

Ilaahi Me Talabgaar e Fana Huñ Khaak e Taibah Me

Ilaahi Kar Nisaar e Dar Madina Aane Waala He

Madine Ko Chala Me Be Niyaz e Rahbar e Manzil

Rah e Taibah He Khud Rahbar Madina Aane Waala He

Mujhe Khinche Liye Jaata He Shawq e Koocha e Jaanañ

Khincha Jaata Huñ Me Yaksar Madina Aane Waala He

Woh Chamka Gumbad e Khazra Woh Shahr e Pur Ziya Aaya

Dhalay Ab Noor Me Paikar Madina Aane Waala He

Jahaañ Se Be Khabar Ho Kar Chalo Khuld e Madina Me

Chalo Ab Hosh Ki Pee Kar Madina Aane Waala He

Madine Me Khule Baab e Hayaat e Naw Ba Tarz e Naw

Badal Daalo Kohan Daftar, Madina Aane Waala He

Zara Ay Markab e Umr e Rawaañ Chal Barq Ki Surat

Dikha Parwaaz Ke Jauhar Madina Aane Waala He

Talab Gaar e Madina Tak Madina Khud Hi Aa Jaa-e

Tu Dunya Se Kinaara Kar Madina Aane Waala He

Madina Aa Gaya Ab Deyr Kya He Sirf Itni Si

Tu Khaali Kar Ye Dil Ka Ghar Madina Aane Waala He

Falak Shayad Zameeñ Par Rah Gaya Khaak e Guzar Ban Kar

Biche Haiñ Raah Me Akhtar Madina Aane Waala He

Fiza-eñ Mehki-Mehki Haiñ Hawa-eñ Bheeni-Bheeni Haiñ

Basi He Kaisi Mushk e Tar Madina Aane Waala He

Qamar Aaya He Shayad Un Ke Talwoñ Ki Zia Lene

Bicha He Chaand Ka Bistar Madina Aane Waala He

Muhammad Ke Gada Kuch Farsh Waale Hee Nahiñ; Dekho!

Woh Aata He Shah e Khaawar Madina Aane Waala He

Ghubaar e Raah e Anwar Kis Qadar Pur Noor He Akhtar,

Tanee He Noor Ki Chaadar Madina Aane Waala He