Roman Urdu #60

MANQABAT SULTAN UL HIND KHWAJA GHAREEB NAWAAZ RADI ALLAHU ANHU

📜 Roman Urdu 🎵 8 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Khwaja e Hind Woh Darbaar He Aala Tera

Khusru e Dahr Huwa Maangne Waala Tera

Faiz Sultaan e Sakhaawat He Niraala Tera

Kabhi Mahroom Nahiñ Maangne Waala Tera

Teri Chawkhat Pe Jo Aaya Woh Bana Shaah e Zamaañ

Khusrawa Dahr Me Farmaan He Chalta Tera

Sadqa He Khwaja e Ajmer Ka Tujh Pe Akhtar

Burj e Rif’at Me Chamakta He Sitaara Tera