Roman Urdu #78

Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai

šŸ“œ Roman Urdu šŸŽµ 54 Lines ā±ļø 5 Min Read ✨ Naat Shareef

Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai Na Chaman-Chaman Bhi Nisaar Hai

ā€˜Ajab Us Ke Gul Ki Bahaar Hai Ke Bahaar Bulbul e Zaar Hai

Na Dil e Bashar Hee Figaar Hai Ke Malak Bhi Us Ka Shikaar Hai

Ye JahaaƱ Ke Hazhdah Hazaar Hai Jisay Dekho Us Ka Hazaar Hai

NahiƱ Sar Ke Sajda KunaaƱ Na Ho Na ZubaaƱ Ke Zamzamah KhwaaƱ Na Ho

Na Wo Dil Ke Us Pe TapaaƱ Na Ho Na Wo Seena Jis Ko Qaraar Hai

Wo Hai Bheeni-Bheeni WahaaƱ Mahak Ke Basa Hai ā€˜Arsh Se Farsh Tak

Wo Hai Pyaari-Pyaari WahaaƱ Chamak Ke WahaaƱ Ki Shab Bhi Nahaar Hai

Ko-ee Awr Phool KahaaƱ Khile Na Jagah Hai Joshish e Husn Se

Na Bahaar Awr Pe Rukh Kare Ke Jhapak Palak Ki To Khaar Hai

Ye Saman Ye Sosan o Yaasman Ye Banafsha Sumbul o Nastaran

Gul o Sarw o Laalah Bhara Chaman Wohi Aik Jalwa Hazaar Hai

Ye Saba Sanak Wo Kali Chatak Ye ZabaaƱ Chehak Lab e Joo Jhalak

Ye Mahak Jhalak Ye Chamak Damak Sab Usi Ke Dam Ki Bahaar Hai

Wohi Jalwa Shehr Ba-Shehr Hai Wohi Asl e ā€˜Aalam o Dahr Hai

Wohi Bahr Hai Wohi Lahr Hai Wohi Paat Hai Wohi Dhaar Hai

Wo Na Tha To Baagh Me Kuch Na Tha Wo Na Ho To Baagh Ho Sab Fana

Wo Hai Jaan, Jaan Se Hai Baqa, Wohi Bun Hai Bun Se Hee Baar Hai

Ye Adab, Ke Bulbul e Be-Nawa Kabhi Khul Ke Kar Na Sakay Nawa

Na Saba Ko Tez Rawish Rawa Na Ch’halakti NahroƱ Ki Dhaar Hai

Ba-Adab Jhuka Lo Sar e Wila, Ke MaiƱ Naam LuƱ Gul o Baagh Ka

Gul e Tar Muhammad e Mustafa Chaman Un Ka Paak Diyaar Hai

Wohi Aankh Un Ka Jo Munh Takay Wohi Lab Ke Mahw HoƱ Na’at Ke

Wohi Sar Jo Un Ke Liye Jhuke Wohi Dil Jo Un Pe Nisaar Hai

Ye Kisi Ka Husn Hai Jalwagar Ke TapaaƱ HaiƱ KhooboƱ Ke Dil Jigar

NahiƱ Chaak Jayb e Gul e Sahar Ke Qamar Bhi Seena Fagaar Hai

Wohi Nazr e Shah Me Zar e Neyko Jo Ho Un Ke ā€˜Ishq Me Zard Roo

Gul e Khuld Us Se Ho Rang Joo Ye KhazaaƱ Wo Taaza Bahaar Hai

Jisay Teri Saff e Ni’aal Se Milay Do Niwaal e Nawaal Se

Wo Bana Ke Us Ke Ugaal Se Bhari Saltanat Ka Udhaar Hai

Wo Ut’theƱ Chamak Ke Tajal’liyaaƱ Ke Mit’a DeƱ Sab Ki Ta’alliyaan

Dil o Jaan Ko BakhsheƱ Tasal’liyaaƱ Tera Noor Baarid o Haar Hai

Rusul o Malak Pe Durood Ho Wohi Jaane Un Ke Shumaar Ko

Magar Aik Aisa Dikha To Do Jo Shafee’ e Roz e Shumaar Hai

Na Hijaab Charkh o Maseeh Par Na Kaleem o Toor NihaaƱ Magar

Jo Gaya Hai ā€˜Arsh Se Bhi Udhar Wo ā€˜Arab Ka Naaqah Sawaar Hai

Wo Teri Tajalli e Dil NasheeƱ Ke Jhalak Rahe HaiƱ Falak ZameeƱ

Tere Sadqe Mere Mah e MubeeƱ Meri Raat KyuƱ Abhi Taar Hai

Meri ZulmateƱ HaiƱ Sitam Magar Tera Mah Na Mahr Ke Mahr Gar

Agar Aik Cheent Pare Idhar Shab e Daaj Abhi To Nahaar Hai

Gunah e RAZA Ka Hisaab Kya Wo Agar Che LaakhoƱ Se HaiƱ Siwa

Magar Ay ā€˜Afu Tere ā€˜Afw Ka Na Hisaab Hai Na Shumaar Hai

Tere Deen e Paak Ki Wo Zia Ke Chamak Ut’thi Rah e Istafa

Jo Na Maane Aap Saqar Gaya KahiƱ Noor Hai KahiƱ Naar Hai

Ko-ee Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Me Us Se Khatak Rahi

NahiƱ Us Ke Jalwe Me Yak Rahi KahiƱ Phool Hai KahiƱ Khaar Hai

Wo Jisay Wahabiya Ne Diya Hai Laqab Shaheed o Zabeeh Ka

Wo Shaheed Laila e Najd Tha Wo Zabeeh e Taigh e Khiyaar Hai

Ye Hai DeeƱ Ki Taqwiyat Us Ke Ghar Ye Hai Mustaqeem Siraat e Shar

Jo Shaqi Ke Dil Me Hai Gaaw-Khar To ZabaaƱ Pe Choorha Chamaar Hai

Wo Habeeb Pyaara To Umr Bhar Kare Faiz o Jood Hee Sar Basar

Aray Tujh Ko Khaaye Tap e Saqar Tere Dil Me Kis Se Bukhaar Hai

Wo RAZA Ke Neze Ki Maar Hai Ke ā€˜Adu Ke Seena Me Ghaar Hai

Kisay Chaarah Jo-ee Ka Waar Hai Ke Ye Waar-Waar Se Paar Hai