Roman Urdu #130

Paat Woh Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Hum

📜 Roman Urdu 🎵 60 Lines ⏱️ 3 Min Read ✨ Naat Shareef

Paat woh kuch dhaar ye kuch zaar hum

Ya ilaahi kyun kar utre paar hum

Kis bala ki mai se hain sarshaar hum

Din dhala hote nahi(n) hushiyaar hum

Tum karam se mushtari har aib ke

Jin se na maqboole har bazaar hum

Dushmano(n) ki aankh mein bhi phool tum

Dosto(n) ki bhi nazar mein khaar hum

Lagzishe pa ka sahara ek tum

Girne waale lakho(n) na hanjaar hum

Sadqa apne baazuo ka al madad

Kaise tode(n) ye bute pindaar hum

Dam qadam ki khair aye jaane maseeh

Dar pe laaye hain dile beemar hum

Apni rehmat ki taraf dekhe Huzoor

Jaante hain jaise hain badkaar hum

Apne mehmaano(n) ka sadqa ek boond

Mar mite pyaase idhar Sarkaar hum

Apne kooche se nikala to na do

Hain to had bhar ke khudai khwar hum

Haath uthakar ek tukda aye Kareem

Hain sakhi ke maal mein haqdaar hum

Chandni chatki hai unke noor ki

Aao dekhe(n) saire tooro naar hum

Himmat aye zo’f unke dar par gir ke ho(n)

Be takalluf saayae deewar hum

Ba ata tum shah tum mukhtar tum

Benawa hum zaar hum nachaar hum

Tumne to laakhon ko jaane(n) fer di(n)

Aisa kitna rakhte hain aazaar hum

Apni sattari ka Ya Rab waasta

Ho(n) na ruswa bar sare darbaar hum

Itni arze aakhri keh do koi

Naav tooti aa pade manjdhaar hum

Muh bhi dekha hai kisi ke afw ka

Dekh O isyaa(n) nahi be yaar hum

Main nisaar aisa muslamaa(n) kijiye

Tod daale(n) nafs ka junnaar hum

Kab se failaye hain daaman taige ishq

Ab to paaye(n) zakhm daaman daar hum

Sunniyat se khatke sab ki aankh mein

Phool hokar ban gaye kya khaar hum

Na tuwani ka bhala ho ban gaye

Naqshe paaye taalibaane yaar hum

Dil ke tukde nazre haazir laaye hain

Aye sagaane koochaye dildaar hum

Qismate sauro hira ki hirs hai

Chahte hain dil mein gehra gaar hum

Chashm poshi wa karam shaane shuma

Kaare ma bebaaki wa israar hum

Fasle gul sabza saba masti shabaab

Chchode(n) kis dil se dare khummar hum

Maikada chut-ta hai lillah saaqiya

Ab ke saagar se na ho(n) hoshiyaar hum

Naazishe karte hain aapas mein malak

Hain ghulamane shahe abraar hum

Lutf az khud raftagi Ya Rab naseeb

Ho shaheede jalwaye raftaar hum

Unke aage da’waye hasti Raza

Kya bake jaata hai ye har baar hum