Roman Urdu #16

QASAM KHUDA KI SHAHA KAMIYAAB HO JAA-UÑ

📜 Roman Urdu 🎵 14 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Tumhare Dar Pe Jo Me Baariyaab Ho Jaa-uñ

Qasam Khuda Ki Shaha Kamiyaab Ho Jaa-uñ

Jo Paa-uñ Bosa e Paa e Huzoor Kya Kehna

Me Zar’rah Shams o Qamar Ka Jawaab Ho Jaa-uñ

Meri Haqeeqat e Faani Bhi Kuch Haqeeqat He

Maruñ To Aaj Khayaal Awr Khwaab Ho Jaa-uñ

Jahaañ Ke Qaws e Quzaah Se Fareb Khaa-e Kyuñ

Me Apne Qalb o Nazar Ka Hijaab Ho Jaa-uñ

Jahaan Ki Bigri Isee Aastaañ Pe Banti He

Me Kyuñ Na Waqf e Dar Aañ-Janaab Ho Jaa-uñ

Tumhara Naam Liya He Talaatum e Gham Me

Me Ab To Paar Risaalat Ma’aab Ho Jaa-uñ

Ye Meri Doori Badal Jaa-e Qurb Se Akhtar

Agar Woh Chaaheñ To Me Baariyaab Ho Jaa-uñ