Roman Urdu #7

SAB MADINE CHALEÑ

📜 Roman Urdu 🎵 26 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Tum Chalo Hum Chaleñ Sab Madine Chaleñ

Jaanib e Taibah Sab Ke Safeene Chaleñ

Mekasho! Aao-Aao Madine Chaleñ

Baada e Khuld Ke Jaam Peene Chaleñ

Jee Gaye Woh Madine Me Jo Mar Gaye

Aao Hum Bhi Wahaañ Mar Ke Jeene Chaleñ

Zindagi Ab Sar e Zindagi Aaga-ee

Aakhri Waqt He Ab Madine Chaleñ

Shawq e Taibah Ne Jis Dum Sahaara Diya

Chal Diye Hum Kaha Bekasi Ne Chaleñ

Taa-ir e Jaañ Madine Ko Jab Urh Chala

Zindagi Se Kaha Zindagi Ne Chaleñ

Jaan e Naw Raah e Jaanaañ Me Yuñ Mil Ga-ee

Aankh Meechi Kaha Bekhudi Ne Chaleñ

Raah e Taibah Me Jab Naatawaañ Rah Gaye

Dil Ko Kheencha, Kaha Bekali Ne Chaleñ

Khaak e Taibah Me Apni Jagah Ho Ga-ee

Khoob Muzdah Sunaya Khushi Ne Chaleñ

Be Takal’luf Shah e Do Jahaañ Chal Diye

Saadgi Se Kaha Jab Kisi Ne Chaleñ

Agle Pichle Sabhi Khuld Me Chal Diye

Roz e Mahshar Kaha Jab Nabi Ne Chaleñ

Un Ki Shaan e Karam Ki Kashish Dekhna

Kaasah Le Kar Kaha Khusrawee Ne Chaleñ

Akhtar e Khasta Bhi Khuld Me Chal Diya

Jab Sada Di Isay Murshidi Ne Chaleñ