Roman Urdu #91

Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Unki Rasai He

πŸ“œ Roman Urdu 🎡 28 Lines ⏱️ 2 Min Read ✨ Naat Shareef

Sunte hain ke mehshar mein sirf unki rasai hai

Gar unki rasaaee hai lo jab to ban aayi hai

Machla hai ke rehmat ne ummeed bandhai hai

Kya baat teri mujrim kya baat banai hai

Sab ne safe mehshar mein lalkaar diya hum ko

Aye bekason ke Aaqa ab teri duhai hai

Yun to sab unhi ka hai par dil ki agar poocho

Yeh toote hue dil hi khaas unki kamai hai

Zaair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare

Uth mere akele chal kya der lagaaee hai

Baazare amal mein toh sauda na bana apna

Sarkar karam tujh mein aibee ki samai hai

Girte huwo ko muzda sajde mein gire Maula

Ro Ro ke shafa’at ki tamheed uthai hai

Aye dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth

Dum ghutne laga zaalim kya dhooni ramai hai

Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do

Muh dekh ke kya hoga parde mein bhalai hai

Ab aap hi sambhalein toh kaam apne sambhal jaayein

Humne to kamai sab khelon mein ganwai hai

Aye ishq tere sadqe jalne se choote saste

Joh aag bujha degi woh aag lagai hai

Hirso hawase bad se dil tu bhi sitam kar le

Tu hi nahi begana dunya hi parai hai

Hum dil jale hain kiske haat fitnon ke parkaale

Kyun foonk du ik uf se kya aag lagai hai

Taiba na sahi Afzal Makkah hi bada zaahid

Hum ishq ke bande hain kyun baat badhai hai