Roman Urdu #140

Tooba Mein Jo Sab Se Oonchi Nazuk Seedhi Nikli Shaakh

πŸ“œ Roman Urdu 🎡 14 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Tooba Mein Jo Sab Se Oonchi Nazuk Seedhi Nikli Shaakh

Maangun naat-e-Nabi likhne ko Rooh-e-Quds sey aisi shaakh.

Mawla gulbun rahmat Zahra Sibtain uski kaliyan phool,

Siddique-o-Farooq-o-Usman-O-Haidar har ek uski shaakh.

Shaakh-e-qaamat sheh me zulf-o-chashm-o-rukhsaar-o-lab main,

Sunbul nargis gul pankhariyan qudrat ki kya phooli shaakh.

Apne in baaghon ka sadqa woh rahmat ka paani de,

Jis sey nakhl-e-dil mein ho paida pyaare teri wilaa ki shaakh.

Yaad-e-rukh mein aahein kar key ban mein main roya aayi bahaar,

Jhoomein naseemein nisaan barsa kaliyan chatkein mehki shaakh.

Zaahir-o-baatin awwal-o-aakhir zeb-e-faroo’-o-zain-e-usool,

Bagh-e-Risaalat mein hay tu hi gul ghuncha jar patti shaakh.

Aal-e-Ahmad khuzbiyadi Yaa Sayyad-e-Hamza kun madadi,

Waqt-e-khazaan-e-umre-e-RAZA ho barg-e-huda sey na aari shaakh.