Roman Urdu #120

Wasfe rukh unka kiya karte hain sharh e wash shams o dhuha karte hain

📜 Roman Urdu 🎵 34 Lines ⏱️ 3 Min Read ✨ Naat Shareef

Wasfe rukh unka kiya karte hain sharh e wash shams o dhuha karte hain

Unki hum maddh o thana karte hain jinko Mahmood kaha karte hain

Maahe shaq gashta ki soorat dekho kaamp kar mehr ki raj’at dekho

Mustafa pyaare ki qudrat dekho kaise ayjaz hua karte hain

Tu hay khursheed e risalat pyare chup gaye teri ziya main taare

Ambiya aur hay sab mah paare tujhse hi noor liya karte hain

Ay balaa be khirdi e kuffar rakhte hain aise key haq main inkaar

Ke gawahi ho gar usko darkaar be zabaan bol utha karte hain

Apne Maula ki hay has shaan e azeem jaanwar bhi kare jinki ta’zeem

Sang karte hain adab sey tasleem per sajde me gira karte hain

Rif’ate zikr hay tera hissa dono ‘aalam me hay tera charcha

Murgh e firdous pas az hamde Khuda teri hi madh o thana karte hain

Ungliyaan paayi wo pyaari pyaari jinse dariya e karam hay jaari

Josh par aati hay jab ghamkhwari tishn e sairaab huwa karte hain

Haan yahi karti hain chirriyan fariyaad haan yahin chaahti hay hirni daad

Isi dar par shutraan e naashaad gil e ranjo ‘anaa karte hain

Aasteen rehmat e ‘aalam ulte kamare paak pe daaman baandhe

Girne waalo ko kucha e dohzakh sey saaf alag kheench liya karte hain

Jab sabaa aati hay Taibah sey idhar khilkhila parrti hay kaliyan yaksar

Phool jaamah sey nikal kar baahar rukhe rangeen ki thana karte hain

Tu hay woh badshah e kouno makaan ki malake haft falak key har aan

Tere Maula sey shah e arsh ‘aywan teri daulat ki dua karte hain

Jiske jalwe sey uhud haytaabaan ma’dane noor hay uska daamaan

Hum bhi us chaand pe ho kar qurbaan dil e sangi ki jila karte hain

Kyo na zeba ho tujhse taajwari tere hi dam ki hay sab jalwa gari

Malak o jinn o bashar hoor o pari jaan sab tujh pe fida karte hain

Toot parrti hain balayein jin par, jinko milta nahin koi yaavar

Har taraf sey wo pur armaan phir kar unke daaman mein chupa karte hain

Lab par aa jaata hay naam e janaab muh me ghul jaata hay shahde naayaab

Wajd me ho key hum ay jaan betaab apne lab choom liya karte hain

Lab pe kis muh sey ghum e ulfat layen kya balaa dil hay alam jiska sunayein

Hum to unke kafe paa par mit jaye unke dar par jo mita karte hain

Apne dil ka hay unhi sey aaram sompe hay apne unhi ko sab kaam

Lou lagi hay key ab us dar key ghulaam chaara e dard e Raza karte hain