Roman Urdu #19

ZAHE AZMAT O IFTIKHAAR E MADINA

📜 Roman Urdu 🎵 26 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Woh Chaa-ee Ghata Baadah Baar e Madina

Piye Jhoom Kar Jaañ Nisaar e Madina

Woh Chamka Woh Chamka Minaar e Madina

Qareeb Aa Gaya He Dayaar e Madina

Naha Leñ Gunahgaar Abr e Karam Me

Utha Dekhiye Woh Ghubaar e Madina

Khuda Yaad Farma-e Sawgand e Taibah

Zahe Azmat o Iftikhaar e Madina

Agar Dekhe Rizwaañ Chaman Zaar e Taibah

Kahe Dekh Kar Yuñ Woh Khaar e Madina

Madine Ke Kaante Bhi Sad Rashk e Gul He

Ajab Rang Par He Bahaar e Madina

Nahiñ Jach’ti Jannat Bhi Nazroñ Me Un Ki

Jinheñ Bha Gaya Khaar-Zaar e Madina

Meri Jaan Se Bhi Woh Nazdeek Tar Haiñ

Woh Maula e Har Be Qaraar e Madina

Karuñ Kya Fikr Me Gham e Zindagi Ki

Me Huñ Banda e Gham Gusaar e Madina

Chala Dawr e Saaghar Ma-e Naab Chal’ki

Rahe Tishna Kyuñ Baadah Khwaar e Madina

Chala Kaun Khushboo Lutaata Ke Ab Tak

He Mahki Huwi Rah Guzaar e Madina

Sahar Din He Awr Shaam e Taibah Sahar He

Anowkhe Haiñ Layl o Nahaar e Madina

Bula Akhtar e Khasta Haal Ko Bhi Dar Par

Me Sadqe Tere Shahr e Yaar e Madina