Roman Urdu #118

Zairo paas-e-adab Rakhho Hawas Jaane Do

📜 Roman Urdu 🎵 16 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Zairo paas-e-adab rakhho hawas jaane do

Aankhein andhi huwi hain unnko taras jaane do

Sookhi jaati hay ummeed-e-gurba ki kheti

Boondiya lakka-e-rehmat ki barras jaane do

Palti aati hay abhi wajd mein jaane sheereen

Naghma-e-qum ka zara kaano mein ras jaane do

Hum bhi chaltay hay zara kaafile waalo thehro

Gathriyaan tosh-e-ummeed ki kas jaane do

Deed-e-gul aur bhi karti hay qiyamat dil par

Hum-safeero humein phir sue qafas jaane do

Aatish-e-dil bhi to bharkaawo adab waa(n) naalo

Kaun kehta hay ki tum zabte nafs jaane do

yoon tane zaar key dar pe huwe dil key sho’lo

Shewa-e-khaanah bar andaziye khas jaane do

Aay RAZA aah ki yoon sahl katein jurm key saal

Do ghari ki bhi ibadat to baras jaane do