Roman Urdu #48

NAZAARE BADAL GA-E

📜 Roman Urdu 🎵 10 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Ghayr Apne Ho Ga-e Jo Hamaare Badal Ga-e

Nazre Badal Ga-eeñ To Nazaare Badal Ga-e

Kis Ko Suna-iyega Yahaañ Gham Ki Daastaan

Jo Gham Me Saath Dete Woh Saare Badal Ga-e

Dhoon’de Se Paa-iyega Na Pehli Si Mastiyaañ

Badli Sharaab Kohna Woh Piyaale Badal Ga-e

Is Dawr e Maslihat Me Wafa Ko-ee Shay Nahiñ

Gaahe Huwe Hamaare To Gaahe Badal Ga-e

Akhtar Laga-iye Lau Nabi e Kareem Se

Kya Fikr Ahl e Dunya Jo Saare Badal Ga-e