Roman Urdu #47

ZAARI E PAIHAM KYA HE

📜 Roman Urdu 🎵 18 Lines ⏱️ 1 Min Read ✨ Naat Shareef

Meri May’yat Pe Ye Ahbaab Ka Maatam Kya He

Shor Kaisa He Ye Awr Zaari e Paiham Kya He

Waa-e Hasrat Dam e Aakhir Bhi Na Aa-Kar Poocha

Mud’da’a Kuch To Bata Deedah e Purnam Kya He

Kuch Bigarta To Nahiñ Mawt Se Apni Yaaro

Hum-Safeeraan e Gulistaañ Na Rahe Hum Kya He

In Khayalaat Me Gum Tha Ke Jhinjhora Mujh Ko

Ek Anjaan Si Aawaaz Ne Ek Dam Kya He

Kaun Hota He Musibat Me Shareek o Ham-dam

Hosh Me Aa Ye Nasha Sa Tujhe Har Dam Kya He

Kayf o Masti Me Ye Mad-hosh Zamaane Waale

Khaak Jaaneñ Gham o Aalaam Ka Aalam Kya He

Un Se Um’meed e Wafa Haa-e Teri Naadaani

Kya Khabar Un Ko Ye Kirdaar e Mu’azzam Kya He

Woh Jo Haiñ Ham Se Gurezaañ To Bala Se Apni

Jab Yahi Tawr e Jahaañ He To Bhala Gham Kya He

Meethi Baatoñ Pe Na Jaa Ahl e Jahaañ Ki Akhtar

Aql Ko Kaam Me Laa Ghaflat e Paiham Kya He